Teenage me pimples nikalna ek aam baat hai lekin kuch ladkiyo me yeh samasya jyada dekhi jaati hai.
Toh aaj hum baat krte h en pimples se kese nijat paaye.
1. Teenage pimples jyada nikal rhe h toh yh hormones ki wajah se bhi ho sakhta hai esliye apni diet me protein ,vitamins aur iron lena chahiye. Junk food ๐๐ or fast food se bachna chahiye.
2. Diet sahi h lekin fir bhi nikal rhe h toh kisi bhi tarah ki medicine nhi leni chahiye... Kyuki yh pimples hmri growth ke time nikalte h.
3. Apne pillow cover change krte rehne chahiye, pillow cover neat and clean rkhne chahiye, jisse face par dust na lge , or pimples na nikle.
4. Kabhi kabhi kuch oil ki wajah se bhi pimples nikal aate h esliye jo oil use kr rhe h , usko check kr lena chahiye , jo oil use ho rha h kahi usse pimples toh nhi nikal rahe.
5. Pimples ko baar baar touch nhi krna chaiye , na hi pimples ko fodne chahiye aur na hi ragadne chaiye.
6. Soap use na karke natural facewash use karna chahiye.
7. Makeup kam se kam karna chahiye , teenage m makeup nhi krna chaiye kyuki es time hmra face kuch chemical ke liye ready nhi hota , aap sab jante h bazaar m aisi bahut si cream h jisme chemical bahut hote h jisse hmri skin ko nuksaan ho sakhta hai , agar kabhi makeup krna ho toh makeup se phle skin ko ache se clean kr lena chahiye uske baad makeup karna chahiye , jab aap aa jaaye toh sabse phle makeup remove krna chaiye.
#clean&clear #himalayas aise face wash market m available hote h inko use karna chahiye..
Teenager ko agar pimple ki aisi koi samasya h toh please diye hue rule follow kre nd clean and bright skin paaye...
No comments:
Post a Comment