Bese maa ke baare m likhna bahut muskil hai , maa ki mamta har lekh se unchi hai , maa ko likh paana kisi ke bas ki baat nahi , MAA toh MAA hoti haii..
Bachpan me jab bahar khelne ke liye jaaya karte tab Mummy kehti , samay se ghar aana , kisi ki baaton me aakar chli mat jaana , koi chocolate de fir bhi mat jaana , koi kahe tumhari mummy ya ghar ka koi bula rha h chalo hmre sath fir bhi mat jaana. Aisa keh kar bahut samjha kar khelne ke liye bheja karti , samay se ghar nahi aate toh gate par khade ho kar intezar karti , jyada deri hone par khud aati wahan jahan khelne jaaya karte the , wahan khelta pakar rahat ki saanse in leti thi. Fir deri hone par sabke samne daant kar hath pakad kar ghar le jaya karti thi. Us time sabke samne daant lagne se bura nahi lagta tha kyuki sabhi daant khaya karte the apne mummy papa se.... Ghar le jaaya karte samay raste me cheez ki dukan hone par toffee , Chips ya chocolate dilwane ke liye kehte toh mummy kehti mai rupees nhi lai , tujhe lene aai. Mummy kehti ghar rakhi hai woh khana , ghar me rakhi hui cheeze nahi khate the , esliye muh fula kar beith jaati thi , mummy pareshan ho kar bahar se chocolate laa ke le diya karti thi or kehti aaj dilwa di agli baar se nhi dilwaogi. Mummy se thik kehkar baat mann liya karte the us samay. Mummy padhai par bahut dhyaan dene ko kehti thi , kyuki mummy nhi chahti thi jese unki padhai complete nahi ho pai bese hmri padhai incomplete na ho esliye padhai ke liye mummy ne ek strict didi ke yahan tuition lga di , tuition ghar ke pass thi , shuru me mummy tuition lekar jaati aur lekar aati thi. Baad me hum jab khud jaane lage the , didi padhai ke piche mara karti thi mummy se kehte toh mummy kehti padhai kro ache se pitai nhi lagegi. Mummy yeh keh kar padhne beithaya karti , mummy english nahi janti thi jyada esliye Mummy ko padhane me pareshani hua karti , mummy nahi chahti thi hamari padhai kharab ho esliye Mummy ne apni tuition colony ki didi se lga li. Mummy bhi ab humre sath english padha karti , mummy mind ki bahut tez thi mummy ko english padhne me jyada time nahi lga , mummy ab humse english , S.St other subjects se questions puchti thi. Mummy nurse thi , mummy ke pass nahi tha , lekin fir bhi mummy raat me padhaya or khud padhti thi. Jab hum padhne se mna karte or padhai nahi karte tab Mummy agle din tuition me jakar hamari shikayat kar deti thi , jisse hamari pitai lagti , jese hum dar se padhai karte aur mummy ko sab yaad karke suna dete. Mummy bahar ke khane ko kam hi khilati thi , hum bahar ka khana na khaye uske liye khud ghar par bahar jesa khana banane ki koshish karti , jisse hum ghar hi khana khaye aur hamari sehat ke liye acha ho. Hamari school P.T.M. m jakar hmari performance check karti , galti hone par mam ke samne daanta karti aur mam se keh kar aati na padhe toh pitai kar diya kro. Raat me chhat par jaate the ghar m sab , tab Mummy apni godi me beitha kar hamse hamare pure din ki baat pucha karti , mummy hmesha kehti kisi ki baat me mat aana , mummy ko hamari bahut chinta rehti thi. Mummy khali samay me hamre liye silai karke foruk bnaya karti , thando me apne hath se sweater bnati jis par mummy design karke hum sabko pehnati. Mummy kehti readymade sirf show ke liye hote hai esme thand nahi rukti , garmai hath ke sweater me hoti hai. Mummy ko ladkiyo ke lambe baal bahut ache lgte the esliye Mummy hmesha baalo ko tight bandha karti , baal khulne se yeh kehkar mna krti ki nazar lag jaegi baalo ko , or ganji ho jaate hai. Mummy ki baat sach lgti thi or baal nhi khulte the kisi bahar ke insaan ke samne...
Mummy hmesha fikar wali baat krti thi , lekin ab mummy hi nhi fikar karne ko...............🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃🙃
#kshmarastogi
#kshmarastogi460.blogspot.com
#novacollege
#novainstituteofnursingandparamedicalscienceslucknow
#khargapur
#maa
Love u mon
ReplyDelete🥰
Delete😍😍💕💕
ReplyDelete🥰🥰
Delete💞💞💞💞
ReplyDeleteTy rahul
Delete